Ab yesi filmen kyaon nahin banati ?

Film KAL AAJ AUR KAL me PRITHAVI RAJ KAPOOR ek drishy me NIRALA K PATRA kitab padate dikhaye gaye hain! Yah kitab MAHAKAVI JANAKI VALLABH SHASTRI dwara sampadit hai, jinhonne pichhale hi mah 94 varsh poore kiye aur unake hum jaise anek prashansakon ne apani-apani tarah se unaka 95th janmdin manaya hai. Shastri ji aaj ki tarikh me HINDI k shayad hamare sabase buzurg rachanakar hain! BIHAR k muzzferpur me rahate hain. ( Pata hai... Nirala niketan, chaturbhuj road, Muzzaferpur! ) Mahakavi NIRALA ka unhen jaisa sneh mila hai, yah hindi sahitya k itihas ka ek adbhut prasang hai! Main yah sab likhate hue filhal ek sawal se joojh raha hun ki aaj yesi filmen kyon nahin banatin jiname hamaare SAHITYA ki koi smriti ya sandarbh kahin udati nigah se bhi dikh saken?
Share on Google Plus

About Shyam Bihari Shyamal

Chief Sub-Editor at Dainik Jagaran, Poet, the writer of Agnipurush and Dhapel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें