KASHI NATH SINGH k upnyas KASHI KA ASSI par film k bahane...

DR,KASHI NATH SINGH k charchit upnyas KASHI KA ASSI par nirmanadhin film MOHALLA ASSI ke climex k kuchh drishyon ki raviwar ko BENARAS k assi ilake me shuting hue. Is douran  umadi jigyasu bhid me sare k sare glamour k mare log hi the, yesa manana bhul hogi. Beshak Kashinatha benaras me kaphi lokapriy hain. Assi ilake me to unhen bacha-bacha janata-pahachanata hai. Asali mayane me KASHI KA ASSI upnyas ne hi unhen yesa sarvparchit banaya  hai.
   Hindi cinema se benaras k shityik mahaqame ka rishta to KATHA SAMARAT PREMCHAND se hi shuru ho gaya tha. PREMCHAND mumbai gaye bhi kintu loute to asafalata aur yesi bimari lekar ki ve  isase phir kabhi ubar nahin sake. Tees k dashak me BHARTENDU BABOO k pautra  puratattva-vid aur itihasakar DR. MOTICHAND ne film banane ki thani aur MAHAKAVI  JAI SHANKAR PRASAD ko kahani likhane k lie razi kar liya. Dr. motichand benaras se bombay chale gaye aur ek film company banakar shuruvati gatividhiyan bhi shuru kar li. PRASAD ji ne dr. motichand ki filmi yojana k lie hi IRAVATI upnyas  likhana shuru kiya kintu drubhagya ki niyati ne unhen ise  pura karane ki mohallat nahin di. Tab se lekar ab tak Benaras  ka  to asankhay film-dharavahikon se nata juda, kintu yahan k sahityik mahaqame  k  lie PREMCHAND aur PRASAD k baad KASHI NATH SINGH k rup me yah tisara mouka hai. Pahale donon avasar dukhdaye hi sabit hue hain. Film MOHALLA ASSI k kalakaron me SUNNY DEOL, SAKSHI TANVAR aur RAVI KISHAN aadi to formula filmon k hi khiladi hain, lihaza unase to nahin  kintu nirdeshak DR. CHANDRA PRAKSH DWIVEDI se awashy yah ummid ki jani chahie ki is baar  HINDI SAHITYA ko milane wala anubhav sukh-santosh k swad se bhara hi hoga.
Share on Google Plus

About Shyam Bihari Shyamal

Chief Sub-Editor at Dainik Jagaran, Poet, the writer of Agnipurush and Dhapel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें