Blog ki Duniya me main kyon aaya?

Blog aur Facebook par main kyon aaya ? Samayabhav ka bhishan sankat jhelane wala main is nai duniya ko bhi vimarsh k naye aayam ki  talash k lie tatolana chahata hun. Chakit hun ki jin mahanubhaon ne kabhi viharon k ant k nare me jor-jor se zindabad ki hank lagai thi, ve bhi ban-than k yahan bhi apane samuhe vistar k sath psare hue hain ! Kya ve sachmuh kisi bhali niyat se hazir hain ya yahan bhi koi vaise hi KHEL ko anjam dene aaye hain ? Ham to chahenge ki aa rahe Hindi Sahitya par charcha-paricharcha ka yesa mahoul bane ki naye lekhakon ko drishti-vridhi ka labh mile, unhe Hamari Bhasha aur Sahitya se akarsan mahasus ho! Hamane siddat se mahsus kiya hai, sabhi kshetra me nayon ka pravesh teji se ho raha hai, kewal yah hindi sahitya ka ilaka hai, jahan naye aane se hichakate hain. kya aap bata sakate hain ki bite sal 2010 me aapake shahar main kis naye Lekhak ne hindi me likhane ka aarambh kiya?
                                                       -----Shyam Bihari Shyamal, Varanasi
Share on Google Plus

About Shyam Bihari Shyamal

Chief Sub-Editor at Dainik Jagaran, Poet, the writer of Agnipurush and Dhapel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें